** Sharah **

Shajra e Aaliya Qadriya

Razviya'h

(Yani.. Tazkira Mashaikh e Qadriya Razviya)

(Aur Ash'Aar K Ma'ana o Mafhoom)

  Sher No. 4  

*********************************

Sayyad e Sajjad Ke Sadqe Me Sajid Rakh Mujhe

Ilm e Haq De Baqar e Ilm e Huda K Waste


*********************************

  ..Tashreeh..  


Ya Sayyad e Sajjad Hazrat Imam Zainul Aabidi
Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh K Sadqe Me Mujhe Sajid
(Sajda Karne Wala) Rakh Aur BaQare ilm e Huda 
Hazrat Imam BaQar Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 
K Tufail Deen o Duniya Me Kamyab Karne Wale
"Ilm e Haq" Ki Daulat Se MalaMaal Farma....

** SAYYAD E SAJJAD **


Hazrat Imam Zainul Aabidi Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 

Imam Aali Muqam 
Sayyidina Imam e Husain
Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh
K SahabZade Hain..

Aap Apne Walid e Girami Hazrat Imam e Husain
Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 
Ke Sath Karbala e Mualla Me Maujud The
Aur Saneha e Karbala Ke Waqt Shadid Bimaar The

Aapki Wiladat

5 Shaban 38 Hijri

Ko

Madina Munawwara Me Hui 

Aapko Walid Bin Abdul Malik Ne Zehr Diya
Jiske Asar Se

18 Muharramul Haraam

94 Hijri

Ko Aapki Shahadat Hui

Mazar e Aqdas

Jannatul Baqi

Qubba e Imam e Hasan

Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh

Me Hai

Aapne Apne Walid Hazrat Imam e Aali Muqam 
Ki Shadat Ke Baad Duniya Ki Lazzato Ko Bilkul Tark
Kar Diya
Aur Yaad e Ilahi Me Mashgool Rehte

Raat o Din Karbala Ke Waqeyat Aur Ahle Bait
ke Masaib Yaad Karke Rote
Na Din Ko Chain Na Raat Ko Aaram Tha
Jab Walid e BuzurgWar Ki Shafqate'n Aur Karbala
K Waqeyat Yaad Aate To Rote Rote BeKhud Ho Jate The

  ** BAQAR e ILM e HUDA **  


Hazrat Sayyidina Imam Muhammad BaQar

Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 
Hazrat Sayyidina Imam Zainul Aabidi Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 
Ke SahabZade Hain 

Aapki Wiladat 

3 Safar ul Muzaffar

57 Hijri Baroz Juma Madina Munawwara

Me Hui
Aur Wisal

7 ZilHaj 114 Hijri 

Baroz Do Shamba 57 Saal 

Ki Umr Hua

Aapka Mazar e Muqaddaa JannatulBaqi (Madeena Munawwara)

Me Hai

  SAYYADUL AMBIYA  

  KA SALAAM  


Hazrat Imam Muhammad BaQar Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 

Farmate Hain
K Mai Ek Din 

Sahabi e Rasool Hazrat e Jabir Bin Abdullah

Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 

Ki Zeyarat Ke Liye Unki Khidmat Me Hazir Hua
Unho Ne Mere Hath Chume Aur Kaha

Aye Farzand e Rasool Tujhe Tere Jadde Kareem

Paigambar e Islam Sallallhu'Alaihi'WaSallam Ka

Salaam Mubarak Ho....
Maine Qissa Daryaft Kiya To

Hazrat e Jabir 

Ne Bataya K 

Rasul e Paak Sallallhu'Alaihi'WaSallam 

Ne Mujh Se Farmaya Tha 
K Tu Mere Ek Farzand Se Jiska Naam

"Muhammad"

Hoga
Mulaqat Karega 
Jab Mulaqat Ho To Mera Use Salaam Kehna

Book>-ShawahiddunNubuwah

Is Se Hazrat Sayyidina Imam 

Muhammad BaQar Radi'Allahu'Ta'Aala'Anh 

Ka Muqam o Martaba Samjha Ja Sakta Hai

K Jis Zaat e Aqdas Par
Khuda e Paak 
Uske Firishte Aur Qaynat K Tamam Ahle Haq
Salaam Bhejte Hain
Next
This is the most recent post.
Previous
Older Post

Post a Comment

 
Top