..Sharah..

Shajra e Aaliya Qadriya

Razviya'h

(Yani.. Tazkira Mashaikhe Qadriya Razviya'h)
(Aur Ash'aar K Ma'ana o Mafhoom)
(Sher-1)

Ya Ilahi Rehm Farma Mustafa K Waste
..........................................
Ya Rasulullah Karam Kije Khuda K Waste

*********************
::::::::-----Tashreeh----:::::::::
*********************
Aye Mere Mabood Apne Mehbub Mustafa Jaan e Rehmat
صلی الله علیه وسلم
K Waste Mujh Par Rahem Farma..
Aur Aye Allah K Rasool Aap Khuda e Paak K Waste Mujh Par Karam Farmaiye..
..............................................
Shajra e Aaliya K Is Pehle Sher Me Khuda e Paak Se Uske Habib K Tufail Rehmat Ki Bheek Talab Ki Gayi Hai.
Aur Rasool e Bar'Haq
صلی الله علیه وسلم
Se Khuda e Paak Ka Wasta Dekar Bakhshish o Karam Ki Khayrat Mangi Gayi Hai.

Khuda e Paak Se Uske Mehbub
صلی الله علیه وسلم
K Wasile Se Dua Mangna.
Aur Rasul e Paak
صلی الله علیه وسلم
Se Khuda e Paak K Waste Se Mangna Hamesha
Ahle Haq Ahle Sunnat Wa Jama'at
Ka Tariqa Raha Hai
......
Bila Shuba'h Jo Dua Sarkar
صلی الله علیه وسلم
K Wasile Se Mangi Jati Hai
Wo Qubul Hoti Hai.
Aur Jo Nemat Bargah e Rasul Se Hasil Hoti Hai
Wo Nemat e Khuda Wandi Hi Hoti Hai..
Isliye K Rasul e Paak Ki Ata Khuda e Paak Ki Hi Ata Hai..
Rasul e Paak Khuda e Paak Ki Ata Se
 "Malik-e-Kaunain" Hain
Tamam Khazano Ki Kunjiya'n Aap Ke Dast e Risalat Me Dedi Gayi Hain.

**********************************
Malik e Kaunain Hain Go Paas Kuch Rakhte Nahi'n
.
Do Jaha'n Ki Nemate'n Hain Unke Khali Hath Me'n
*************************************
: Hadaiq e Bakhshish :
....................................

Sarkar e DoAalam
صلی الله علیه وسلم
Ki
*-Waiadat e Ba'Sa'Aadat-*
12 Rabiun'Noor
Baroz Do'Shamba (Peer)

Mutabiq 20 April 571 e.
Subah Sadiq K Waqt Hui.

Aur Wisal
Baroz Do'Shamba
12 Rabiun'Noor 11 h.
Mutabiq
8 June 632 e.
DoPaher K Waqt Ummul Momineen Hazrat e Aayisha Siddiqa RadiallahutalaAnha
K Hujra e Mubarka Me Hua..

ये भी पढ़ें.. Ala Hazrat Ki Tehqeeq Huzur Ka Wisal 13 RabiunNoor.
12. Aur 13 Ki Tatbeeq

Sarkar e Kaynaat
صلی الله علیه وسلم
Tamam Makhluqat Me Sab Se Afzal o Aala Hain.
Sari Kaynat Aur Har Makhluq Aapke Noor Se Paida Ki Gayi .

Aapke Mojzat BeShumar Hain.
Tamam Ambiya o Mursaleen Alaihimussalat o Wassalam
Aur Sari Makhluq Ko Jo Khubiya'n Di Gayi Wo Sab Aapki Zaat Wala Sifaat Me Maujood.
Aapke Fazail o Kamalaat Ka Ahata NaMumkin Hai.
Aap Har Nuqs o Ayb Se Paak Aur
Khubi o Kamaal K Jame Hain.
Jo Shakhs Aap
صلی الله علیه وسلم
Ko Kisi Makhluq Se Kamtar Bataye
Aapki Shan e Aqdas Me Mamuli Si Bhi Gustakhi Kare Wo Kafir o Murtad Hai.
.
>tazkira Mashaikhe Qadriya RaZviya

Post a Comment

 
Top