..Sharah..
Shajra e Aaliya Qadriya
Razviya'h
(Yani.. Tazkira Mashaikh e Qadriya Razviya )
(Aur Ash'aar K Mafhoom o Ma'ana)
Sher No. 2
**********************************
Mushkile'n Hal Kar Shahe Mushkil Kusha K Waste
~~~~~~~~~~~~~
Kar Balaye'n Rad Shaheed e KarBala K Waste
*********************************
*.....Tashreeh.....*
Ya Ilahi.
Maula e Qaynat Hazrat Ali
Mushkil Kusha
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
Ke Tufail Meri Mushkile'n Aasan Farma.
Aur Shaheed e KarBala
Imam e Aali Muqam
Sayyidina Imam e Husain
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
K Waste Balao'n Aur Musibato'n Ko Taal De..
*******************************
Shajra e Mubaraka Ke Is Dusre (2) Sher Me
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
Ne Silsila e Tariqat K Mutabiq "Shah e Mushkil Kusha"
Yani Maula Ali Sher e Khuda
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
Aur Aapke Farzand e Arjmand "Shaheed e Karbala"
Sayyidina Imam e Husain
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
K Asma e Tayyiba Nazm Farmaye Hain....
Shah e Mushkil Kusha
Maula Ali Sher e Khuda
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
Ki
*..Wiladat e Ba'Sa'Aadat.. *
Rajabul'Murajjab
Ki
13 Tarikh Baroz Juma
Mutabiq
5 October 599 eisvi
Ko Khana e Kaba Me Hui
Is Fazilat Me Aapka Koi Sharik Nahi...
Aapki
..Shahadat..
21 Ramazanul Mubarak 40 Hijri
Mutqbiq
4 February 661 Eisvi
63 Saal Ki Umr Sharif Me Hui.
Ameerul Momineen Sayyidina Maula Ali Sher e Khuda
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
Silsila e Aaliya Qadriya Razviya K Dusre Imam o Shaikh e Tariqat Aur Khulfa e Rasheedin Me Chauthe (4) Khalifa e Ajal Hain.
Aapke Fazail o Manaqib Me Bahut Si Aayat o Ahadees Warid Hain..
Walid
Aapke Walid Ka Naam
Abu Talib
DaDa Ka Ism e Girami
Aur DaDa Ka Naam
Hazrat Abdul Muttalib
Abu Talib Ne Aakhiri Waqt Tak Islam Qubul Nahi Kiya
Aur Haalat e Kufr Hi Me Is Daar e Faani Se Rukhsat Ho Gaye...
Ye Sarkar Do Aalam
صلی الله علیہ وسلم
Ke Haqiqi Chcha The.
Huzur Se Rishta?
Lehaza Hazrat e Ali
رضی اللہ تعالیٰ عنہ
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم
K Chcha Zaad Bhai Hue..
Hazrat Maula Ali
رضی اللہ تعالیٰ عنہ
Ke Sath
Sarkar
صلی الله علیہ وسلم
Ne Apni Lakhte Jigar Sayyidah Fatima Zuhra
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہا
Ka Nikah Padhaya..
Sayyidah Fatimah Zuhra
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہا
Ke Batan e Mubarak Se
Silsila e Aaliya Qadriya Razviya
Ke Tisare (3) Imam o Shaikh e Tariqat Yani
Wiladat e BaSa'Aadat
Imam e Husain
Sahid e Karbala
Sayyidina Imam e Husain
رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ
Ki Wiladat e BaSa'Aadat
4 Shabanul Muazzam
4 Hijri
Ko Madeena Munawwarah Me Hui
Shahadat
Aur Shahadat
10 Muharramul Haraam
61 Hijri
Ko SarZameen e KarBala Par
56 Saal 5 Maah Ki Umr Me Hui..
HumShabih e Mustafa
Aap Sina e Mubarak Se Qadam e Mubarak Tak Bilkul
Huzur
صلی الله علیہ وسلم
Ke Mushabeh Aur Ayse Hassen o Jameel Ke Jo Aapko Dekhta Aapka Shaida Ho Jata..
Chehra e Mubarak Ka Husn o Jamal Aysa K Tareek Raat Aur Tareek Ghar Me Raushan Sitare Ki Tarah Chamakta Aur Log Uski Raushni Me Raah Chalte..
📝📖Book📖📝
Post a Comment
Post a Comment